Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki Lyrics (Urdu, Hindi, English)
Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki Lyrics ek mashhoor naat hai jo Nabi Kareem ﷺ ki shaan aur unki wiladat ki khushi ko bayan karti hai. Is naat me shayar batata hai ke aaj ki raat rehmat, barkat aur noor se bharpoor hai aur har taraf khushi aur rahmat ka mahaul hai.
English Lyrics
Noori mehfil pe chadar tani noor ki Noor phaila hua aaj ki raat hai Chandni mein hain doobe hue do jahan Kaun jalwa numa aaj ki raat hai Arsh par dhoom hai farsh par dhoom hai Kam naseebi hai us ki jo mehroom hai Phir milegi ye shab kis ko maloom hai Hum pe lutf e khuda aaj ki raat hai Momino aaj ganj e sakha loot lo Loot lo aye mareezo shifa loot lo Aasiyo rahmat e mustafa loot lo Baab e rahmat khula aaj ki raat hai Abr e rahmat hain mehfil pe chhaye hue Aasman se malaik hain aaye hue Khud muhammad hain tashreef laye hue Kis qadar jaan fiza aaj ki raat hai Maang lo maang lo chashm e tar maang lo Dard e dil aur husn e nazar maang lo Sabz gumbad ke saye mein ghar maang lo Maangne ka maza aaj ki raat hai Is taraf noor hai us taraf noor hai Sara aalam masarrat se mamoor hai Jis ko dekho wahi aaj masroor hai Mahak utthi faza aaj ki raat hai Waqt laye khuda sab madine chalen Lootne rahmaton ke khazeene chalen Sab ke manzil ki janib safeene chalen Meri Saaim dua aaj ki raat hai
Hindi Lyrics
नूरी महफ़िल पे चादर तनी नूर की नूर फैला हुआ आज की रात है चांदनी में हैं डूबे हुए दो जहां कौन जलवा नुमा आज की रात है अर्श पर धूम है फर्श पर धूम है कम नसीबी है उस की जो महरूम है फिर मिलेगी ये शब किस को मालूम है हम पे लुत्फ़-ए-खुदा आज की रात है मोमिनो आज गंज-ए-सखा लूट लो लूट लो ऐ मरीजो शिफा लूट लो आसियो रहमत-ए-मुस्तफा लूट लो बाब-ए-रहमत खुला आज की रात है अब्र-ए-रहमत हैं महफ़िल पे छाए हुए आसमान से मलाइक हैं आए हुए खुद मुहम्मद हैं तशरीफ लाए हुए किस क़दर जान फिज़ा आज की रात है मांग लो मांग लो चश्म-ए-तर मांग लो दर्द-ए-दिल और हुस्न-ए-नज़र मांग लो सब्ज गुम्बद के साये में घर मांग लो मांगने का मज़ा आज की रात है इस तरफ नूर है उस तरफ नूर है सारा आलम मसर्रत से मामूर है जिस को देखो वही आज मस्रूर है महक उठी फिज़ा आज की रात है वक्त लाए खुदा सब मदीने चलें लूटने रहमतों के खजाने चलें सब के मंजिल की जानिब सफीने चलें मेरी साइम दुआ आज की रात है
Urdu Lyrics
نوری محفل پہ چادر تنی نور کی نور پھیلا ہوا آج کی رات ہے چاندنی میں ہیں ڈوبے ہوئے دو جہاں کون جلوہ نما آج کی رات ہے عرش پر دھوم ہے فرش پر دھوم ہے کم نصیبی ہے اس کی جو محروم ہے پھر ملے گی یہ شب کس کو معلوم ہے ہم پہ لطفِ خدا آج کی رات ہے مومنو آج گنجِ سخا لوٹ لو لوٹ لو اے مریضو شفا لوٹ لو عاصیو رحمتِ مصطفیٰ لوٹ لو بابِ رحمت کھلا آج کی رات ہے ابرِ رحمت ہیں محفل پہ چھائے ہوئے آسمان سے ملائک ہیں آئے ہوئے خود محمد ہیں تشریف لائے ہوئے کس قدر جاں فزا آج کی رات ہے مانگ لو مانگ لو چشمِ تر مانگ لو دردِ دل اور حسنِ نظر مانگ لو سبز گنبد کے سائے میں گھر مانگ لو مانگنے کا مزہ آج کی رات ہے اس طرف نور ہے اس طرف نور ہے سارا عالم مسرت سے معمور ہے جس کو دیکھو وہی آج مسرور ہے مہک اٹھی فضا آج کی رات ہے وقت لائے خدا سب مدینے چلیں لوٹنے رحمتوں کے خزینے چلیں سب کے منزل کی جانب سفینے چلیں میری سائم دعا آج کی رات ہے
Video
Meaning
Is naat me Nabi Kareem ﷺ ki wiladat ki khushi aur us raat ki barkat ka bayan kiya gaya hai. Shayar kehta hai ke aaj ki raat har taraf noor, rehmat aur khushi ka mahaul hai aur momineen ke liye Allah ki rehmat aur barkat ke darwaze khule hue hain.
FAQs
Q1) Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki kis type ki naat hai?
Ye Milad-un-Nabi ﷺ ki khushi me padhi jane wali mashhoor naat hai.
Q2) Ye naat kis theme par hai?
Ye naat Nabi Kareem ﷺ ki wiladat ki khushi aur us raat ki barkat ko bayan karti hai.
Info
| Naat Khawan: | Owais Raza Qadri |
| Written By ✍️ (Shayar): | Allama Saim Chishti |
| Category: | Mehfil |
| Language: | Urdu, Hindi, English |
Also Read
Noori Mehfil Pe Chadar Tani Noor Ki ek bahut mashhoor aur roohani naat hai jo Milad-un-Nabi ﷺ ki khushi aur Nabi Kareem ﷺ ki shaan ko khoobsurat alfaaz me bayan karti hai.
Post a Comment