Duroode Ahle Bait Allahumma Salli Ala Lyrics (English, Hindi, Urdu)

Duroode Ahle Bait Allahumma Salli Ala Lyrics ek khoobsurat durood aur salaam hai jo Nabi-e-Karim ﷺ aur unke mubarak gharane yani Ahle Bait ki shaan me padha jata hai. Is kalaam me Hazrat Ali, Bibi Fatima, Imam Hasan, Imam Husain aur Hazrat Zainab par durood o salaam bhejne ki fazilat bayan ki gayi hai. Mehfil-e-naat aur mehfil-e-durood me ye kalaam aksar padha jata hai aur dil me Ahle Bait ki muhabbat ko mazboot karta hai.

Duroode Ahle Bait Allahumma Salli Ala Lyrics in English Hindi Urdu

English Lyrics

Allahumma salli ala sayyidina wa maulana Muhammad

Allahumma salli ala sayyidina wa maulana Muhammad
Wa ala sayyidina Aliyyi wa sayyidatina Fatima
Wa sayyidatina Zainab wa sayyidina Hasan wa sayyidina Husain
Wa ala aalihi wasahbihi wa baarik wa sallim

Pyaare nabi ki zaat par rab ka durood hai
Sultane do jahan par sab ka durood hai

Zahra pe bhejte jo duroodo salaam hain
Wo sachche ghulame mustafa hain, nek naam hain

Allah ke sher haidare karrar par durood
Hazrat hasan husain ke kirdar par durood

Zainab ki bargaah mein salame niyaz hai
Jo murtaza ki ladli, zahra ka naaz hai

Jannat mein fatima ki kanize jahaan rahen
Ya rab meri dua hai meri maan wahaan rahen

Jannat mein mustafa ke sahaba jahaan rahen
Ya rab meri dua hai mere baba wahaan rahen

Padhte hain gar durood to milta sawab hai
Bhejen agar salam to aata jawab hai


Hindi Lyrics

अल्लाहुम्मा सल्लि अला सैय्यिदिना व मौलाना मुहम्मद

अल्लाहुम्मा सल्लि अला सैय्यिदिना व मौलाना मुहम्मद
वा अला सैय्यिदिना अली व सैय्यिदतिना फातिमा
वा सैय्यिदतिना ज़ैनब वा सैय्यिदिना हसन वा सैय्यिदिना हुसैन
वा अला आलिहि वसहबिहि व बारिक व सल्लिम

प्यारे नबी की ज़ात पर रब का दुरूद है
सुल्तान-ए-दो जहाँ पर सब का दुरूद है

ज़हरा पे भेजते जो दुरूदो सलाम हैं
वो सच्चे ग़ुलाम-ए-मुस्तफ़ा हैं, नेक नाम हैं

अल्लाह के शेर हैदर-ए-क़र्रार पर दुरूद
हज़रत हसन हुसैन के किरदार पर दुरूद

ज़ैनब की बारगाह में सलाम-ए-नियाज़ है
जो मुर्तज़ा की लाडली, ज़हरा का नाज़ है

जन्नत में फ़ातिमा की कनीज़ें जहाँ रहें
या रब मेरी दुआ है मेरी माँ वहाँ रहें

जन्नत में मुस्तफ़ा के सहाबा जहाँ रहें
या रब मेरी दुआ है मेरे बाबा वहाँ रहें

पढ़ते हैं गर दुरूद तो मिलता सवाब है
भेजें अगर सलाम तो आता जवाब है


Urdu Lyrics

اللهم صل علی سیدنا و مولانا محمد

اللهم صل علی سیدنا و مولانا محمد
وعلی سیدنا علی و سیدتنا فاطمہ
و سیدتنا زینب و سیدنا حسن و سیدنا حسین
وعلی آلہ و صحبہ و بارک و سلم

پیارے نبی کی ذات پر رب کا درود ہے
سلطانِ دو جہاں پر سب کا درود ہے

زہرا پہ بھیجتے جو درود و سلام ہیں
وہ سچے غلامِ مصطفیٰ ہیں، نیک نام ہیں

اللہ کے شیر حیدرِ کرار پر درود
حضرت حسن حسین کے کردار پر درود

زینب کی بارگاہ میں سلامِ نیاز ہے
جو مرتضیٰ کی لاڈلی، زہرا کا ناز ہے

جنت میں فاطمہ کی کنیزیں جہاں رہیں
یا رب میری دعا ہے میری ماں وہاں رہیں

جنت میں مصطفیٰ کے صحابہ جہاں رہیں
یا رب میری دعا ہے میرے بابا وہاں رہیں

پڑھتے ہیں گر درود تو ملتا ثواب ہے
بھیجیں اگر سلام تو آتا جواب ہے


Video



Meaning

Is kalaam mein Nabi-e-Karim ﷺ aur unke Ahl-e-Bait par durood o salam bhejne ki fazilat bayan ki gayi hai. Shayar batata hai ke jo log Hazrat Fatima, Hazrat Ali, Imam Hasan, Imam Husain aur Hazrat Zainab par durood o salam bhejte hain woh asal mein Nabi ﷺ ke sachche ghulam hain. Ismein dua bhi ki gayi hai ke hamare walidain ko jannat naseeb ho aur humein bhi durood o salam bhejne ki taufeeq milti rahe.


FAQs

Q1: Ye kalaam kis bare mein hai?
Ye durood o salam Nabi-e-Karim ﷺ aur unke gharane ki shaan mein padha jata hai.

Q2: Is kalaam ko kab padha jata hai?
Ye mehfil-e-naat, mehfil-e-durood aur Islamic gatherings mein padha jata hai.

Q3: Durood padhne ki kya fazilat hai?
Durood padhne se sawab milta hai aur Allah ki rehmat nazil hoti hai.


Info

Naat Khawan: Syed Hasanullah Husaini,Zoheb Ashrafi
Written By ✍️ (Shayar): Unknown
Category: Dorood/Manqabat
Language: Urdu, Hindi, English

Also Read


Allahumma Salli Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammad ek roohani durood hai jo Nabi-e-Karim ﷺ aur unke Ahl-e-Bait ki muhabbat ko bayan karta hai. Is kalaam ko padhne se dil mein Nabi ﷺ aur unke gharane ki muhabbat aur izzat barhti hai. Har momin ke liye zaroori hai ke wo apni zindagi mein zyada se zyada durood o salam padhkar sawab hasil kare aur Allah ki rehmat ka mustahiq bane.

Post a Comment

Previous Post Next Post